Tuesday, February 20, 2018

Hamdard Maullaham Do Atisha Ke Fayde - Unanitimes.com


Hamdard Maullaham jo hai zyada umar wale mard aurat sabhi logon ke liye ek behtareen tonic hai jo dil, deemagh aur nerv ko taqat deti hai. Ayiye jante hain Hamdard Maullaham ka composition, fayde aur istemal ki puri detail-

HAMDARD MAULLAHAM DO ATISHA KA COMPOSITION

Ise composition ki baat karen to isme Zafran, Elaychi, Safed zeera, Sandal safed, Sajaz hindi, Gaozaban, Gule surkh, Kishniz khushk, Dana Elaychi khurd, Sad Kufi, Bisfayej, Jauzbua, Bisbasa, Oode gharqi, Ushna, Bekhe Seosan, Darunaj Aqrabi, Darchini, Shaqaqul misri, Tudri surkh, Bahman Safed, Bahman surkh, Tudri zard, Babul, Salab misri, Gospand aur Qand safed jaisi chizon ko milakar banaya gaya hai.

MAULLAHAM KE FAYDE


  • Nervous disorder, Hazme ki kharabi, Low Immunity power, Khoon ki kami ya Anemia, Liver disorder aur taqat ki kami jaisi beemariyon me asardar hai.
  • Dil deemagh aur nerve ke liye yah jani-mani Unani dava aur tonic hai jo mard aurat sabhi ke liye faydemand hai.
  • Yah nerve ko taqat deta hai, hazma durust karta hai aur naya aur healthy khoon banane me madad karta hai.
  • Body ko zaruri nutrition dekar boday ko mazbut aur sehatmand banata hai aur beemariyon se bachne me bhi madad karta hai.



  • Liver aur pet ke function ko sahi karta hai. 



  • Zyada umr ke logon ke liye behtareen tonic hai, winter season me har me umr ke log iska istemal kar fayda le sakte hain. 


HAMDARD MAULLAHAM KA DOSE

4 spoon khana se ek ghanta pahle subah sham lena chahiye. Yah bilkul safe dava hai, kisi tarah ka koi side effect ya nuksan nahin hota hai. Iske 500ML ke bottle ki qeemat qareeb 146 rupya hai, ise Unani dava dukan se ya fir online kharid sakte hain.

Monday, February 12, 2018

Majun Jalali Ke Fayde | Unani Medicine for General Debility - Unanitimes.com


Majun Jalali classical Unani medicine hai jo kamzori ko door kar power aur stamina ko badhati hai. Chinta tanav aur mardana kamzori ko door kar proper aur long lasting erection me madad karti hai. To ayiye jante hain Majun Jalali ka composition, Fayde aur Istemal ki puri detail-

Yah majun ya halwe ki tarah ki dava hai popular dava labub kabir jaisi.

MAJUN JALALI KA INGREDIENTS

Ambar, Zafran, Kababa, Bazrul Banj, Sumbul-ut-teeb, Ood Kham, Qirfa, Darchini, Mastagi, Charela, Indarjau shirin, Jauzbua, Khashkhash, Khasyatul Salab, Qand Safaid aur Habbul Neel jaisi chizon ko milakar banaya jata hai.

MAJUN JALALI KE FAYDE

Yah Anti oxidant, Anti aging, Anti stress, Male hormone(Testosterone) booster jaise gunon se bharpur hai. Taseer me garm hai.

General weakness ya aam kamzori ko door karne ki yah jani mani classical unani medicine hai.

Mardana kamzori ya purush rogon me asardar hai. Yah chinta-tanav, stress wagairah ko door kar Yauneksha ko badhati hai. Proper erection me helpful hai jis se erectile dysfunction me fayda hota hai.

Iske istemal se mani gadha hota hai, sperm quality aur quantity ko improve kar male infertility ko door karti hai.

Liver, heart aur brain ko taqat deti hai. Iske istemal se body me taqat ati hai, bhookh badhti hai aur hazma theek karne me bhi madad milti hai.

Auraton ke liye bhi faydemand hai. Hormones ko balance kar, desire ko badhati hai, periods ki problem, hormone ki kami se breast size kam hona jaisi problem me faydemand hai.

Kul milakar dekha jaye to Majun Jalali ek achhi dava hai jise general tonic ki tarah istemal kar zindagi ka maza le sakte hain.

MAJUN JALALI KA DOSE

5 gram subah nashte ke baad ek glass doodh ke sath lena chahiye. Yah almost safe dava hai. Hamdard ke 30 gram ke pack ki qeemat qareeb 75 rupya hai.


Monday, February 5, 2018

Jawarish Jalinoos Ke Fayde - Unanitimes.com


Jawarish Jalinoos halwe ke tarah ki Unani dava hai jo pet ki beemariyon jaise gastric, seene ki jalan, khatti dakar ana, bhook ki kami aur kabz ko door karti hai.

JAWARISH JALINOOS KA NUSKHA YA COMPOSITION

Iske composition ki baat karen to isme Balchhad, Taj qalmi, Elaychi khurd, Darchini, Qaranfal, Kulanjan, Nagarmotha, Filfil syah, Zanjbil, Filfil daraz, Udbalsan, Mastangi, Kushtshirin, Asaroon, Chirayta shirin, Tukhm morid aur Zafran mila hota hai.

Banane ka tariqa yah hota hai ki sabhi chizon ko barabar wazan me lekar kut-piskar safoof ya churn banakar chini aur shahad mix kar liya jata hai.

JAWARISH JALINOOS KE FAYDE

Mede ya pet ke rogon ke liye yah achhi dva hai. Yah digestive enzyme ko badhakar hazma theek karti hai. Seene ki jalan, acidity, khatti dakar ana  jaisi problem door hoti hai.

Iske istemal se digestion improve hota hai, bhookh badhti hai jis se sehat theek hoti hai.

Yah pet aur aaton ke movement ko sahi karti hai aur kabz ko door karti hai, jis se bawaseer me bhi fayda hota hai.

Pet ki kharabi ki wajah se hone wali munh ki badboo ko door karti hai.
Yah kidney aur bladder ko bhi taqat deti hai, peshab ki jalan aur peshab ki rukawat ko door kar peshab saaf lane me madad karti hai.

JAWARISH JALINOOS KA DOSE AUR ISTEMAL KARNE KA TARIQA

5 se 10 gram tak roz ek bar khana khane ke baad pani se lena chahiye. Yah bilkul safe dava hai, kisi tarah ka koi side effect ya nuksan nahin hota hai. Hamdard jaisi Unani companiyan ise banati hai, ise dava dukan se ya fir online bhi kharid sakte hain niche diye link se-


HABB E HAMAL KE FAYDE | HAMDARD HABB E HAMAL - UNANITIMES.COM


Habb e hamal aurton ka banjhpan ya Female Infertility door kar bachcha thahrane me madad karti hai. Aurton ke liye yah Unani dava hai jo goli ya tablet ke rup me hoti hai. Ise jadi-butiyon ke combination se banaya jata hai.

HABB E HAMAL KA COMPOSITION

Iske 370mg ke har tablet me- Afyun 1.58mg, Jayphal 44.98mg, Zafran 12.68mg, Bhang 22.11mg, Purana gud 69.5mg, Chhaliya 214.80mg aur Laung 4.40mg mila hota hai.

HABB E HAMAL KE FAYDE

Aurton ke banjhpan ya infertility me iska istemal kiya jata hai. Yah garbhashay ke masals ki kamzori me faydemand hai. Uterine atony, Metritis ya garbhashay ki dusri problem se hone wale banjhpan me istemal kiya jata hai.

Agar conceive nahin kar par rahen aur bachcha nahin thahar raha to iska istemal karna chahiye.

HABB E HAMAL KA DOSE AUR ISTEMAL KARNE KA TARIQA

1 goli subah khali pet aur 1 goli sone se pahle taze pani se period khatm hone ke turant baad sirf 3 dinon tak lena chahiye. Ise roz 3 bar tak bhi liya ja sakta hai. Period ke paanchven ya satven din se lena  chahiye.

Iska istemal karte huve ya istemal karne se pahle Majun Hamal, Supari Pak aur Ashokarishta ya Masturin jaisi dava bhi use karne se bachcha thaharne ka chance badh jata hai.

Aagr 3 din me bachcha nahin thaharta hai to fir agle period ke baad use karna chahiye. Hamdard, Rex jaisi Unani company ki yah dava market me mil jati hai. Ise online bhi kharid sakte hain, Hamdard ke 20 tablet ki qeemat 60 rupya hai.

Hamdard Zamad Shabab Cream Review | Increase Breast Size Naturally- Unanitimes.com


Bade aur sudaul stan(breast) pana har mahila ka khwab rahta hai kyunki sudaul stan unki khubsurdi ko badhate hain. Bade aur sudaul stan pane ke liye Unani dava company Hamdard ne pesh kiya hai Zamad Shabab Cream jiska istemal kar mahilayen apne stan ko bada, sudaul aur khoobsurat bana sakti hain.

ZAMAD SHABAB CREAM KA COMPOSITION

Ise Safeda jast, Suhaga Biryan, Sangjarahat saeeda, Vaseline safed aur gulab ki khusbu jaisi chizon ko mix kar banaya gaya hai.

ZAMAD SHABAB CREAM KE FAYDE

Yah breast ke natural aur proper development me madad karti hai. Breast ke shape aur size ko sahi karti hai, bada aur sudaul banati hai.

Breast me blood flow ko durust karti hai, breast ki muscles ko poshan dekar size badhane me madad karti hai.

ZAMAD SHABAB CREAM ISTEMAL KAISE KAREN?

Cream ko lekar halke hathon se golaai me malish karen, roz sone se pahle aur malish ke baad sahi size ka bra pahankar so jayen. Kuchh dinon ke lagatar istemal se farq dekh sakti hain aur fayda dikhen lagta hai. Pura fayda hone tak use karen. Ise unani dava dukan se ya fir online khariden diye gaye link se.

HAMDARD ARUSAK VAGINA TIGHT KARNE KI DAVA

LABUB KABIR KE FAYDE AUR ISTEMAL


Labub Kabir mardon ki beemariyon ki Unani dava hai. Ling ya nafs ka dheelapan, shihgrapatan ya jald discharge hona, erectile dysfunction, virya ka patlapan, sperm count kam hone aur impotency ya namardi ko door karne ke liye hakeem log iska istemal karate hain.

LABUB KABIR KA COMPOSITION

Iske nuskhe ya composition ki baat karen to isme kayi tarah ki jadi butiyan mili hoti hain jaise-

Varq tila, Varq nuqra, Ambar ashab, Jauzbua, Bisbisa, Usna, Filfil daraz, Jatamansi, Sad qufi, Qaranfal, Kababchini, Indra jau shirin, Darunaz, Aqrabi, Zarambad, Habbul Qilqil, Tukhm-e-gajar, Tukhm pyaz, Tukhm turb, Tukhm shaljam, Tukhm ispat, Tukhm halyum, Oud hindi, Kharatin musaffa, Suranjan shirin, Buzidan, Pudina khushk, Paneer May shutur arbi, Zafran, Mastangi, Magaz pista, Magaz badam, Magaz funduk, Habbul khizra, Magaz akhrot, Magaz chilgoza, Habbul zalam, Mahi rubiyan, Kulanjan, Shakakul misri, Bahman surkh, Bahman safed, Tudri surkh, Tudri zard, Zanjbil, Kunjad muqasar, Darchini, Khusyatus Salab, Narjil taza, Khaskhas safed aur shakkar milaya jata hai.

Banane ka tariqa yah hota hai ki sabhi jadi-butiyon ke powder ko tigune shahad me achhi tarah se mix kar liya jata hai aur sabse aakhir me warq tila aur warq nuqra milaya jata hai.

Unani dava banane wali company Hamdard ke alawa bhi Labub Kabir kayi sari dusri companiyan bhi banati hain, jise lekar aap asani se istemal kar sakte hain.

LABUB KABIR KE FAYDE

Jaisa ki shuru me bataya gaya hai mardon ki beemariyon ke liye yah bejod dava hai.

Iske istemal se male hormone testosterone badhta hai aur namardi door hoti hai.
Semen ya mani ko badhata hai, sperm count, motility aur quality ko bhi badhata hai jis se mardon ki Infertility ya baap na ban pane ki problem door hoti hai.

Dhat girna aur swapndosh ya ehtelam ko door karta hai.

Deemaghi thakan aur tension ko door kar body ki taqat ko bhi badhata hai.
Kul milakar dekha jaye to mardon ke overall health ko improve kar taqat aur stamina badhane ke liye yah best davaon me se ek hai jo bina kisi side effect ke kaam karti hai.

LABUB KABIR KA DOSE AUR ISTEMAL KARNE KA TARIQA- 

5-10 gram tak ek glass doodh ke sath subah khali pet roz ek bar lena chahiye nashte se ek ghanta pahle.

Agar koi dusri dava bhi lete hon to ise khane ke ek ghanta pahle ya baad hi dusri dava len.

Almost safe dava hai, long time bhi use kar sakte hain. Par kam se kam 45 days zarur use karen. Hamdard ke 125 gram ke pack ki qeemat 250 rupya hai. Unani dava dukan se ya fir online kharid sakte hain yahan click kar.


Buy online from Amazon-


LABUB BARID KE FAYDE

Friday, February 2, 2018

Labub Barid | Majun Labub Barid Ke Fayde | Labub Barid Benefits, Ingredients in Hindi Urdu-Unanitimes.com


Majun Labub Barid ya Labub Barid Unani dava hai jo mardana kamzori ko door karti hai. Iske istemal se jald discharge hona, mani ka patla hona aur mardana kamzori jaisi beemariyon me fayda hota hai. Ayiye jante hain Majun Labub Barid ka composition, fayde aur istemal ki puri detail-

LABUB BARID INGREDIENTS(COMPOSITION)-

Labub Barid ke composition ki baat karen to yah Tukhm Utangan, Tukhm Khurfa, Tukhm Kahkashan, Tukhm Gajar, Tudri Surkh, Kulanjan, Zanjabeel, Shaqaqul Misri, Kateera, Magz Badam shirin, Maghz Tukhm Tarbooz, Magz Akhrot, Magz Kharqbuza, Magz Tukhm-e-Khayarain, Magz Tukhm Kaddu, Shakkar Surkh aur Qimam Shakkar Safaid milakar banaya jata hai.

LABUB BARID KE FAYDE-

Shighrapatan ya jald discharge hone ki problem me iska istemal kiya jata hai. Yah virya ya mani ko gadha karta hai aur timing badhata hai.

Dhat girna, swapndosh aur madana kamzori ko door karta hai.

LABUB BARID KA DOSE-

10 gram subah sham ek glass doodh ke sath khana ke baad lena chahiye. Yah taseer me garm nahin hota,  jinko garm taseer wali dava suit nahin karti wo log bhi ise use kar sakte hain. 

Jawarish Kamuni Akbar Ke Fayde | Jawarish Kamuni Akbar Benefits in Hindi Urdu- Unanitimes.com


Jawarish Kamuni Akbar pet ke beemariyon ki dava hai jo gas, badhazmi, pet fulna aur kabz jaisi problem ko door kar hazma ko durust karti hai. To ayiye jante hain Jawarish Kamuni Akbar ka compostion Fayde aur istemal ki puri detail-

JAWARISH KAMUNI AKBAR KA COMPOSITION-

Isme Darchini, Bura Surkh, Filfil Safaid, Filfil Syah, Sudab Khushk, Murabba Sonth, Zeera Kirmani Mudabbir, Qand Safaid aur Shahad Milakar banaya jata hai.

JAWARISH KAMUNI AKBAR KE FAYDE-

Yah pet ki gas ko nikalta hai, kabz ya constipation ko door karta hai aur hazme ko mazbut banata hai.

Pet ka dard, pet ka bhari hona jaisi takleef door hoti hai.

JAWARISH KAMUNI AKBAR KA DOSE-

5-10 gram subah sham pani ke sath khana khane ke baad lena chahiye. Hamdard ke 125 gram ke pack ki qeemat 56 Rupya hai. Ise Unani dava dukan se ya fir online kharid sakte hain niche diye link se-



Thursday, February 1, 2018

Hamdard Arusak Ke Fayde | Fir Se Jawan Bana De


Dheeli Yoni tight karne ki behad asardar unani cream hai Hamdard Arusak
Delivery ke baad ya fir Umr badhne ki wajah se agar mahila ki yoni dheeli ho gayi ho aur use fir se tight karna chahti hon, 16 saal ki ladki ki trah ki feel karna chahti hon to iska istemal karen.

Hamdard Arusak ek tarah ki herbal gel cream hai jiska istemal kar fayda liya ja sakta hai.

Ise Mazoo Sabz aur Vaseline Safed jaisi chizon se banaya gaya hai jo bilkul safe hai.

Hamdard Arusak Ke Fayde- 

Yah dheele aur loose pade muscles ko tight karti hai aur tone karti hai. Aur aurton ke private part me kasav laati hai.

Badhti umr me bhi dubara se young banne ka ahsas dilati hai.

Hamdard Arusak Istemal Karne ka Tariqa- 

Cotton ya Sponge ko gel lagakar achhi tarah se tar kar len aur dhage se bandh kar andar tak daal den. Aisa sone se pahle sham me kare aur subah ko dhage ke sahare cotton ya sponge nikal den. Har roz naya cotton ya naya sponge use karna hai.

Is tarah se roz kam se kam 15 din tak karna chahiye. Period khatm hone ke baad hi iska use karen aur iska use karte huve sex nahin karen. Use karne ke ke 3 din pahle aur 3 din baad tak sex nahin karna chahiye.

Iske 50 gram ka pack qareeb 15 din tak chal jata hai. Ise Yunani Dava dukan se ya fir online kharid sakte hain. 50 gram ke pack ki qeemat sirf 50 Rupya ke qareeb hai.

Hamdard Lipotab Ke Fayde | Cholesterol Kam kare Dil ko Healthy Rakhe


Hamdard Lipotab cholesterol ko conrol kar normal karta hai, heart ki problem ko door kar heart ko healthy rakhta hai. Ayiye jante hain Hamdard Lipotab ka compostion, fayde aur istemal ki puri detail- 

Lipotab jo hai Unani dava company Hamdard ka patent brand hai jo ki jadi butiyon ke combination se bana hai. Iske composition ki baat karen to iske har tablet me- 

Badranjboya Ext (Nepeta hindostana) - 39.97mg
Safoof Seer (Allium sativum) - 144.84mg
Safoof Chobzard (Curcuma longa) - 55.70mg
Lactose - 111.42mg
Chalk Powder - 73.57mg
Starch - 55.70mg
Gum Acacia (Acacia arabica) - 55.70mg  mila hota hai. 

Lipotab Ke Fayde- 

Haldi, lahsun, kaitnip jaisi asardar jadi-butiyon ka formula cholesterol kam karne me asardar hai. Yah khoon me maujud lipid ya charbi ko control kar cholesterol level ko normal kar deta hai.

Bad cholesterol ya LDL aur Triglyceride ko kam kar normal kar deta hai aur iski wajah se hone wali problem ko door kar deta hai.

Chest pain ya Seene ka dard aur saans lene me takleef hona door karta hai.
Iske istemal se wazan bhi kam karne me madad milti hai. Kul milakar dekha jaye to cholesterol aur is se related problem ke liye Hamdard Lipotab ek achhi dava hai. 

Hamdard Lipotab Ka Dose aur Istemal karne ka tariqa- 

2 tablet roz ek bar sham ko khana khane se 30 minute pahle lena chahiye. Yah bilkul safe dava hai, long time tak use kar sakte hain. Iske 60 tablet ke pack ki qeemat qareeb 145 rupya hai, ise Unani dava dukan se ya fir online kharid sakte hain. 

Unani Medicine Ya Tibb-e-Unani Kya hai?


Unani ya Tibb-e-Unani jo hai Greece ka ilaj karne ka paramparik tarika hai. Arab deshon me use hone ki wajh se Islamic Medicine bhi kaha jata hai. Mughal Rajaon ke daur me India aur Pakistan jaise deshon me yah kaafi popular huyi. Asia ke kayi mulkon me iska istemal kiya jata hai. Yah qareeb 5000 saal pahle ka ilaj karne ka tariqa hai.

Unani ek Arabic word hai jiska matlab hota hai 'Sehatmand Zindagi' jis symbol of healthy life kah sakte hain. Ise Green word 'IONIAN' se liya gaya hai. Unani to 'Tibb-e-Unani' bhi kahte hain. Tibb ka matlab hota hai 'Knowledge'

Greece me Hippocrates ke daur me ilaj karne ka tariqa shuru hua. Unani Dava Hippocratic theory par depend karti hai jisme 4 basic element hote hain jis 'ANASIR-E-ARBA' kahte hain  jo hi hain- Hava, Pani, Mitti aur Dhoop.

Ayurved me jis tarah se 'TRIDOSH' ka siddhant hota hai, Unani me 'AKHLAT' hain jo 4 tarah ka mana gaya hai jaise- BALGHAM, DAM(Khoon), SAFRA(Safed pitt),  SAUDA(Kali Pitt).

Jab ye charon chiz balance rahti hain to koi beemari nahin hoti aur agar inme se koi ek ya ek se zyada imbalance ya kam zyada ho jaye to beemari ho jati hai.
Unani me mana jata hai ki hamari body 7 tarah ki basic chizon se bana hai jise- ARKAN, AKHLAT, MIJAZ, AAZA, QUWA, ARWAH aur AFAAL kaha jata hai.

Unani me ilaj ke 3 tarah ke main tariqe apnay jate hain jaise

ILAJ-BIL-TADBIR
ILAJ-BIL-GHIZA
ILAJ-BIL-DAWA
ILAJ-BIL-TADBIR- me Ayurved ke Panchkarma ke tarah ke tariqe apnaye jate hain  jisme paseena nikalna, khoon nikalna ya Hijama jaise method hote hain.
ILAJ-BIL-GHIZA- me khan-pan ya food par dhyan diya jata hai aur beemari ko door karne wale khane diye jate hain.

ILAJ-BIL-DAWA- me dawayion ka istemal kiya jata hai. Jisme kayi trah ki davayiyan hoti hain.

Unani davaon ke category ki baat karen to isme kayi tarah ki dava hoti hain jaise-

Anoshdaru
Arq
Habb(Pills)
Halwa
Itrifal
Jawarish
Labub
Khamira
Kushta
Majun
Marham
Roghan(Oil)
Safoof
Sharbat
Qurs

Unani ilaj ya iske principal ki baat karen to yah ek bahut bada chapter hai jisme kayi sari detail ati hain. Yahan par main mote taur par Unani Medicine ke bare me bataya hai jise aap admi asaani se samajh sakta hai.